Tuesday, July 12, 2016

Nani ki God



Musafiron ki tarah teri chaukhat pe aana
Khidki se tujhe awaaz lagana
Tere chhote se ghar aur bade se dil mein
Garmiyon ke saari chhuttiyan bitana
Aaj bhi tere chehre ki raunaq yaad hai
Aaj bhi nani, teri godi yaad hai

Tera garam halwa aur naram rotiyan
Chulhe pe dher pakwaan banana
Baitha ke apni chhoti si rasoi me
Vo pyaar se daant ke, niwaale khilana
Aaj bhi tere vo niwaale yaad hain
Aaj bhi nani, teri godi yaad hai

Nanu ke kisson par khul ke hasna
Tere saath baith ke gappe lagana
Us do kamre ke ghar me aakar
Ek ajeeb sa sukoon paana
Aaj bhi teri pyaari thapkiyan yaad hai
Aaj bhi nani, teri godi yaad hai

Ab jaan meri basti hai jisme
Socha tha kabhi khelegi teri god me
Par nanka mera kho gaya kahi
Sheher paraya, waqt vo begana ho gaya kahi
Aaj bhi un galiyon se guzarna yaad hai
Aaj bhi nani, teri godi yaad hai

1 comment:

  1. Nanhi naani,
    Pyaari naani,
    Kahani main buni naani
    Sardiyon main ooni naani
    Mithai main raasi naani
    Cough syrup main khansi naani
    Bachpan main bachchi naani
    Meri sabse achi naani.

    Naani aaj nahi hai. Naani aaj bhi hai.

    ReplyDelete